Wuzu ka Sunnat Tareeqa

Namaaz padhne se pehle "Wuzu" karna zaroori hai. Us ke bagair namaaz nahi hogi. Wuzu ka sunnat tareeqa yeh hai ke sab se pehle paak hone ki niyyat kare, phir "Bismillah" padh kar wuzu shuru kare, donon haath gatton tak teen martaba dhoye, phir miswaak kare, miswaak na ho to ungli se daant saaf kare, phir teen martaba kulli kare, phir teen martaba daayein haath se naak mein paani daale aur baayein haath se naak saaf kare, phir teen martaba poor chehra dhoye, ek kaan ki lau se doosre kaan ki lau tak aur peshaani ke baalon se thhodi ke neeche tak, phir ddadhhi ka khilaal kare, is ka tareeqa yeh hai ke daayein haath mein thoda paani le aur thhodi ke neeche se ungliyon ko daadhhi mein daakhil kar ke oopar nikaal de, phir teen martaba daayaan hath kohniyon ke oopar tak dhoye, phir teen martaba baayaan haath kohniyon ke oopar tak dhoye, phir donon haathon ki ungliyon ka khilaal kare, us ka tareeqa yeh hai ke baayein haath ki hatheli daayein haath ki pusht par rakh kar ungliyaan ek doosre mein daal de, phir isi tarah baayein haath ka khilaal kare. Phir haath geela kar ke ek baar poore sar ka masah kare, saath hi kaan aur gardan ka masah bhi kare, phir baayein haath se teen martaba daayaan pair takhnon ke oopar tak dhoye aur pair ki ungliyon ka haath ki chhoti ungli se khilaal kare, phir baayaan pair takhnon ke oopar tak teen martaba dhoye aur ungliyon ka khilaal kare. Chehre haath aur pair ko khoob mal kar dhoye, zor se paani na maare, akheer mein wuzu ke baad ki dua padh le.

Mas'ala : Agar dadhhi ke baal itne ghane hon ke andar ki khaal baahar se dikhaai na de, to wuzu mein khaal tak paani phnchaana zaroori nahi hain, balke baalon ko oopar se dholena kaafi hai. Daadhhi ke jo baal thhodi se neeche latke huwe hon un ka dhona farza nahi hai, balke un ka khilaal karna sunnat hai.

[Shaami : 1/254, Kitaabuttahaara, Arkaanul Wuzu]