Namaaz Ka Tareeqa

NAMAAZ KA TARKEEQA Namaaz padhne ke liye baa wuzu qible ki taraf rukh kar ke khada ho jaaye aur jo namaaz padhna ho us ki niyyat dil mein kar le, jaise Fajr ki namaaz ya Zuhar ki namaaz padh raha hoon. Yeh niyyat zabaan se bhi kehna behtar hai. Niyyat karne ke baad donon haath donon kaanon ki lau tak utha kar Takbeer-e-Tehreema "Allaahu akbar" kahe aur donon haath naaf ke neeche baandh le. Phir Sana padhe : Subhaanakallaahumma wabihamdika watabaarakasmuka wa ta'aalaa jadduka walaa ilaaha gairuka, phir Ta'awwuz : A'oozubillahi minash shaitaanirrajeem padhe, phir Tasmiyah : Bismillaahirrahmaanir raheem padhe. Phir Sura-e-Faatiha padhe. Sura-e-Faatiha padhne ke baad aahista se "Aameen" kahe. Phir "Bismillaahirrahmaanirraheem" padhe. Phir Qur'aan-e-kareem ki koi Surah padhe maslan : Sura-e-Kausar.

Phir "Allaahu akbar" kehte huwe ruku mein jaaye, phir ruku ki tasbeeh "Subhaana rabbiyal `azeem" kam se kam teen martaba padhe, phir "Sami'allahuliman hamidah" kehte huwe itmenaan se seedha khada ho jaaye, phir "Rabbana lakal hamd" kahe, agar Imam ke peechhe ho to Imaam ke "Sami'allaahuliman hamidah" kehne ke baad "Rabbanaa lakal hamd" kahe, phir "Allaahu akbar" kehte huwe sajde mein jaaye aur sajde ki tasbeeh "Subhaana rabbiyal a'alaa" kam az kam teen martaba padhe. phir "Allaahu akbar" kehte huwe itmenaan se baithh jaaye, phir "Allaahu akbar" kehte huwe doosre sajde mein jaaye aur sajde ki tasbeeh "Subhaana rabbiyal a'alaa" kam az kam teen martaba padhe, phir "Allaahu akbar" kehte huwe doosri rakat ke liye seedha khada ho jaaye. Phir isi tarah "Bismillaah...." padhe aur Sura-e-Faatiha aur phir "Bismillaah...." padh kar koi surah padhe maslan : Sura-e-lkhlaas.

Aur isi tarah doosri rakat poori kar ke qa'ade mein baithh jaaye.

PhirTashahhud padhe : "Attahiyyaatu a lillaahi..." aakhir tak. Jab "Ash-hadu" par pahonche to beech ki ungli aur angoothhe se halqa bana le "Iaa ilaaha" kehte huwe shahaadat ki ungli uthhaaye aur "Illallaah" par ungli jhuka de magar halqe ki haalat ko namaaz ke akheertak barqaraar rakhe, phir Durood Shareef padhe "Allaahumma Salli `alas Muhammadin..." aakhir tak, phir Duaa-e-Maasoorah padhe, "Allaahumma inee zalamtu nafsi..." aakhir tak, phir "Assalaamu `alaikum wa rahmatullaah" kehte huwe pehle daayein jaanib salaam phere phir baayein jaanib is tarah do rakat namaaz poori hui.

Agar teen ya chaar rakat waali namaaz padh raha ho to "Attahiyyaat" ke baad fauran teesri rakat ke liye khada ho jaaye aur (farz namaaz ke alaawa) bataaye huwe tareeqe ka mutaabiq baqiya rakatein poori kar ke Qa'ada-e¬Akheera mein baithh jaaye (farz namaaz ki teesri aur chauthi rakat mein sirf Sura-e-Fatiha padhe aur koi surah na padhe) aur Attahiyyaat, Durood Shareef aur Duaa-e-Maasoorah padhne ke baad salaam pher kar namaaz mukammal kare.