Namaaz-e-Janaaza Tareeqa

Mayyit mard ho ya aurat us ko aage rakh kar imaam us ke seene ke saamne khada ho jaaye aur tamaam log peechhe safon mein khade ho jaayein. Pir niyyat is tarah karein ke main ALLAH ke waaste is mayyit ki magfirat ke liye is imaam ke peechhe janaaze ki namaaz pad hta hoon.

Phir imaam zor se aur muqtadi aahista se takbeer "ALLAHU AKBAR" kahein aur donon haath kaanon tak uthha kar naaf ke neeche baandh leis aur imaam wa muqtadi sab aaista aahista sana padhein.

(Ta'alaa jadduka ke baad wa jalla sanaauka padh lena behtar hai)

Phir Imaam zor se aur muqtadi aahista se bagaair haath uthhaaye huwe doosri takbeer kaehin aur Imaam aur muqtadi sab aahista aawaaz se Durood-e-Ibrahimi padhein.

Us ke baad Imaam zor se aur muqtadi aahista aawaaz se teesri takbeer kaehin aur janaaze ki masnoon dua padhein.

Us ke baad Imaam zor se aur muqtadi aahista aawaaz se chauthi takbeer keh kar pehle daahini taraf : phir baayen taraf salaam pher den.

NAMAAZ-E-JANAAZA KI MASNOON DUAAEIN

BAALIG MARD YA AURAT KA JANAAZA HO TO YEH DUA PADHEIN.

ALLAHAHUMMAGFIRLIHAYYINA WA MAYYITINAA WA SHAAHIDINAA WA GAAIBINAA WA SAGEERINAA WA KABEERINAA WA ZAKARINAA WA UNSAANAA ALLAAHUMMA MAN AHYAITAHOO MINNAA FA'AHYIHEE ALAL ISLAAM WA MAN TAWAFFAITAHOO MINNAA FATAWAFFAHOO ALAL IMAN.

Tarjuma : Aye ALLAH ! Tu hamaare zindon ko aur hamaare murdon ko, hamaare maujood logon ko aur hamare gair maujood logonko, hamaare chhoton ko aur hamaare badon ko, neez hamare mardon ko aur hamaari aurton ko baksh de. Aye ALLAH ! Ham mein se jise tu zinda rakhe use Islaam par zinda rakh aur ham mein se jise tu maut de use imaan par maut de.

BACCHE KA JANAAZA HO TO YEH DAU PADHEIN

ALLAAHUMMAJ 'ALHU LANAA FARATAUN WAJ'ALHU LANAA AJRAUN WA ZUKHRAUN WAJ'ALHU LANAA SHAAFIAUN WA MUSHAFFA'AA.

Tarjuma : Aye ALLAH ! Is bachche ko tu hamaare liye pehle se jaakar intezaa karne waala aur sawaab ka zariya aur zakheera bana, aur us ko hamaare haq mein sifaarish karne waala bana aur us ki sifaarish qubool farma.

BACHCHI KA JANAZAA HO TO YEH DUA PADHEIN

ALLAAHUMMAJ 'ALHAA LANAA FARATAUN WAJ'ALHAA LANAA AJRAUN WA ZUKHRAUN WAJ'ALHAA LANAA SHAAFIATAUN WA MUSHAFFA'AH

Tarjuma : Aye ALLAH ! Is bachchi ko tu hamaare liye pehle se jaakar intezaam karne waali aur sawwab ka zariya aur zakheera bana, aur us ko hamaare haq mein sifaarish karne waali bana aur us ki sifaarish qubool farma.