Kalimaate e Namaaz


Takbeer-e-Tahreema :
(Namaz shuru karte waqt kahe)
ALLAHU Akbar

Tarjuma : ALLAH sab se bada hai.

Ruku ki tasbeeh :
Subhaana rabbiyal 'azeem

Tarjuma : Main apne azeem Rab ki paaki bayaan karta hoon.

Tasmee'a :
Ruku se uthhte huwe kahe Sami'allaahu liman hamidah

Tarjuma : ALLAH Ta'ala ne sun li us shaks ki jis ne us ki ta'areef ki.

Tahmeed :
(Ruku ke baad seedha khada ho jaaye to kahe)
Rabbanaa lakal hamd

Tarjuma : Aye hamaare Rab! Tamaam ta'areefein tere hi liye hain.

Sajde ki tasbeeh :
Subhaana rabbiyal a'alaa

Tarjuma : Main apne buland Rab ki paaki bayaan karta hoon.

Tasleem
(Salaam phertewaqt kahe)
Assalamu alaikumwa rahmatullah

Tarjuma : Tum par salaamati aur ALLAH ki rahmat ho.

SANA
Subhaanakallaahumma wabi hamdika wa tabaarakasmuka wa ta'aalaa jadduka walaa ilaaha gairuk.

Tarjuma : Aye ALLAH ! Hum tere paaki ka iqraar karte hain aur teri ta'areef bayaan karte hain aur tera naam bahot barkat waala hai aur teri buzurgi bartar hai aur tere siwa koi ibaadat ke Iaaiq nahi.

TASHAHHUD (Attahiyyaat)
Attahiyyaatu Iillaahi wassalawaatu wattaiyyibaatu, assalamu 'alaika aiyyuhannabiyyu warahmatullaahi wabarakaatahu, assalaamu 'alainaa wa'alaa gbaadil-laahissaaliheen, ash-hadu allaa ilaaha illallaahu wa ash-hadu anna MUHAMMADAN 'abduhoo warasooluh.

Tarjuma : Tamaam qauli ibaadatein aur tamaam feli ibaadatein aur tamaam maali ibaadatein ALLAH hi ke liye hain, Aye Nabi (SAWS) ! Aap par salaam ho aurALLAH ki rahmat aur us ki barkatein hon, salaam ho hum par aur ALLAH ke nek bandon par, main gawaahi deta hoon ke ALLAH ke siwa koi ma'abood nahin aur main gawaahi deta hoon ke MUHAMMAD (SAWS) ALLAH ke bande aur us ke Rasool hain.

DUROOD SHAREEF
Allaahumma salli 'alaa MUHAMMADIN wa 'alaa aali MUHAMMADIN kamaa sallaita 'alaa IBRAAHEEMA wa 'alaa aali IBRAAHEEMA innaka hameedum majeed. Allaahumma baarik 'alaa MUHAMMADINW wa 'alaa aali MUHAMMADIN kamaa baarakta 'alaa IBRAAHEEMA wa 'alaa aali IBRAAHEEMA innaka hameedum majeed.

Tarjuma : Aye ALLAH ! Rahmat naazil farma MUHAMMAD (SAWS) parAap ki aal par jaise ke tu ne rahmat naazil farmaai IBRAHIM (AS) par aur un ki aal par, beshak Tu ta'areef ke Iaaiq badi buzurgi waala hai. Aye ALLAH ! Barkat naazil farma MUHAMMAD (SAWS) par aur Aap ki Aal par jaise ke barkat naazil farmaai tu ne IBRAHIM (SAWS) par aur un ki aal par, beshak tu ta'areef ke Iaaiq badi buzurgi waala hai.

DUAA-E-MAASOORAH
Allaahumma inee zalamtu nafsee zulman kaseeranw walaayagfiruz zunooba illaa anta fagfirlee magfiratam minindika warhamnee innaka antal gafoorur raheem.

Tarjuma : Aye ALLAH ! Main ne apne nafs par bahot ziyaada zulm kiya aur siwaaye tere aur koi gunaahon ko bakhsh nahi sakta, pas tu apni khaas bakhshish se mujh ko bakhsh de aur mujh par raham farma de, beshak tu hi bakhshne waala nihaayat raham karne waala hai.

NAMAAZKE BAAD KI DUA
Jab namaaz se faarig ho to pehle teen martaba "Astagfirullaah" kahe. Allahumma antas salaamu wa minkas salaamu tabaarakta yaa zaljalaaliwal ikraam.

Tarjuma : Aye ALLAH ! Tu salaamati waala hai aur tujh hi se salaamati mil sakti hai, Aye buzurgi aur ikraam waale !Tu bada baabarkat hai.