Azaan
Namaaz se pehle ek aadmi buland aawaaz se makhsoos alfaaz mein ALAAH Ta'ala ki badaai bayaan karta hai aur Namaaz ki da'awat deta hai, us ko "Azaan" kehte hain, aur Azaan dene waale ko "Muazzin" kehte hain, Paanch farz Namaazon aur Juma ki Namaaz ke liye azaan di jaati hai.
ALLAAHU AKBAR
ALLAHU AKBAR
ALLAHU AKBAR
ALLAAHUAKBAR
ASH-HADU ALLAA ILAAHA ILLALLAH
ASH-HADU ALLAA ILAAHA ILLALLAH
ASH-HADU ANNA MUHAMMADAR RASOOLULLAAH
ASH-HADU ANNA MUHAMMADAR RASOOLULLAAH
HAIYYA 'ALAS SALAAH
HAIYYA 'ALAS SALAAH
HAIYYA 'ALAL FALAAH
HAIYYA 'ALAL FALAAH
ALLAAHU AKBAR
ALLAAHU AKBAR
LAA ILAAH ILLALLAAH
Fajr ki Azaan mein HAIYYA ALAL FALAAH ke baad do martaba ASSALAATU KHAIRUM MINAN NAUM ka izaafa kiya jaata hai.
AZAAN KA JAWAA B
Azaan ke jawaab mein azaan ke wahi kalimaat dohraana chaahiye, albatta HAIYYA 'ALASSALAAH, HAIYYA `ALALFALAAH, ke jawaab mein LAA HAULA WALAA QUWWATA ILLA BILLAHIL 'ALIYYIL 'AZEEM aur ASSALAATU KHAIRUM MINAN NAUM ke jawaab mein SADAQTA WABARARTA kehna chaahiye.
IQAAMAT
Jamaat khadi hote waqt jaldi jaldi jo kalimaat kahe jaate hain, us ko "IQAAMAT" kehte hain.
ALLAAHU AKBAR
ALLAHU AKBAR
ALLAHU AKBAR
ALLAAHU AKBAR
ASH-HADU ALLAA ILAAHA ILLALLAH
ASH-HADU ALLAA ILAAHA ILLALLAH
ASH-HADU ANNA MUHAMMADAR RASOOLULLAAH
ASH-HADU ANNA MUHAMMADAR RASOOLULLAAH
HAIYYA 'ALAS SALAAH
HAIYYA 'ALAS SALAAH
HAIYYA 'ALAL FALAAH
HAIYYA 'ALA L FALAAH
QADQAMA TIS SALAAH
QADQAMA TIS SALAAH
ALLAAHU AKBAR
ALLAAHU AKBAR
LAA ILAAH ILLALLAAH
IQAA MAT KA JAWAAB
Azaan ke jawaab ki tarah hi iqaamat ka jawaab dena chaahiye, albatta QADQAAMATIS SALAAH ke jawaab mein AQAAMAHALLAHU WA ADAAMAHAA kehna chaahiye.
Note : lqaamat mein do kalimaat ko ek saans mein kaheinge aur HAIYYA 'ALASSALAAH AUR QADQAAMATIS SALAAH mein gol taa ko has padheinge khwaah us par waqf na karein.