Auratoznki Namaaz ka Farq

1.  Takbeer-e-Tahreema ke waqt donon haath kandhon tak uthhaayein lekin haathon ko dupatte se baahar na nikaalein.

2.  Auratein seene par haath baandhein aur daahine haath ki hatheli ko baayein haath ki hatheli ki pusht par rakh dein.

3.  Ruku mein auratein thoda sa jhukein yaani sirf is qadr ke haath ghutnon tak pahonch jaaye, peethh bilkul seedhi na karein, donon haath ghutnon      par rakh dein, ghutnon ko na pakdein aur jitna ho sake sukad kar ruku karein.

4.  Sajde mein auratein paaon khada na karein balke daahin taraf nikal dein (khoob simat kar aur dab kar sajda karein, pet donon raanon se aur      baazu donon pehluwon se mil jaayein) aur donon kalaaiyon ko zameen par rakh dein.

5.  Qa'ade mein jab baithhein to donon paaon ko daahini taraf nikal dein aur dono haathon ko raanon par rakh dein aur ungliyaan mila kar rakhein.